kisī  ko  nāz-e-ḳhirad  hai  kisī  ko  faḳhr-e-junūñ
maiñ  apne  dil  kā  fasāna  kahūñ  to  kis  se  kahūñ
na  iztirāb  meñ  lazzat  na  ārzū-e-sukūñ
koī  kahe  ki  maiñ  ab  kyā  fareb  khā  ke  jiyūñ
rahegī  phir  na  ye  kaifiyyat-e-talab  ai  dil
chhupe  hue  haiñ  to  hai  ishtiyāq-e-dīd  fuzūñ
hai  aaj  dil  pe  gumāñ  husn-e-nā-shanāsī  kā
jalā  chuke  jab  use  jalvā-hā-e-gūnā-gūñ
ho  ab  bhī  fikr  meñ  mushkil  to  yaad  aate  haiñ
vo  har  adā  meñ  taġhazzul  ke  saikḌoñ  mazmūñ
tum  aise  kaun  ḳhudā  ho  ki  umr  bhar  tum  se
umiid  bhī  na  rakhūñ  nā-umīd  bhī  na  rahūñ