Jameeluddin Aali

ab tak mujhe na koi mera raaz-dan mila

Jameeluddin Aali

Delhi, India

1925-2015

ab tak mujhe na koī mirā rāz-dāñ milā

jo bhī milā asīr-e-zamān-o-makāñ milā

kyā jaane kyā samajh ke hamesha kiyā gurez

sau baar bijliyoñ ko mirā āshiyāñ milā

uktā gayā huuñ jāda-e-nau talāsh se

har raah meñ koī na koī kārvāñ milā

muddat meñ ham ne aap banāyā thā ik ufuq

jaate the us taraf ki tirā āstāñ milā

kin hausloñ ke kitne diye bujh ke rah ga.e

ai soz-e-āshiqī bahut garāñ milā

kyā kuchh luTā diyā hai tirī har adā ke saath

kyā mil gayā hameñ jo ye husn-e-bayāñ milā

thā ek rāz-dār-e-mohabbat se lutf-e-zīst

lekin vo rāz-dār-e-mohabbat kahāñ milā

ik umr ba.ad isī mutalavvin nigāh meñ

kitnī mohabbatoñ ḳhazāna nihāñ milā

ab justujū ruḳh jo muḌā hai to mat pukār

sab tujh ko DhūñDte the magar kahāñ milā

Top Urdushayar.com