bahut  dinoñ  se  mujhe  terā  intizār  hai  aa  jā
aur  ab  to  ḳhaas  vahī  mausam-e-bahār  hai  aa  jā
kahāñ  ye  hosh  ki  uslūb-e-tāza  se  tujhe  likhūñ
ki  ruuh  tere  liye  saḳht  be-qarār  hai  aa  jā
guzar  chalī  haiñ  bahut  ġham  kī  shorisheñ  bhī  hadoñ  se
magar  abhī  to  tirā  sab  pe  iḳhtiyār  hai  aa  jā
vo  terī  yaad  ki  ab  tak  sukūn-e-qalb-e-tapāñ  thī
tirī  qasam  hai  ki  ab  vo  bhī  nāgavār  hai  aa  jā
ġhazal  ke  shikve  ġhazal  ke  muāmlāt  judā  haiñ
mirī  hī  tarah  se  to  bhī  vafā-shi.ār  hai  aa  jā
badal  rahā  ho  zamāna  magar  jahān-e-tamannā
tire  liye  to  abad  tak  bhī  sāzgār  hai  aa  jā
hazār  tarah  ke  afkār  dil  ko  rauñd  rahe  haiñ
muqāble  meñ  tire  rañj-e-rozgār  hai  aa  jā