merī  be-hauslagī  is  se  sivā  aur  sahī
aur  chāho  to  mohabbat  kā  silā  aur  sahī
yuuñ  bhī  kuchh  kam  to  na  the  itnī  bahāroñ  ke  hujūm
in  meñ  shāmil  tire  dāman  kī  havā  aur  sahī
mujh  ko  isrār  kahāñ  hai  ki  mohabbat  jānūñ
aaj  se  ma.anī-o-andāz-o-adā  aur  sahī
talab-e-dard  meñ  dil  had  se  guzartā  kab  thā
tum  ne  pūchhā  thā  ki  aur  is  ne  kahā  aur  sahī
ab  to  har  shahar  meñ  us  ke  hī  qasīde  paḌhiye
vo  jo  pahle  hī  ḳhafā  hai  vo  ḳhafā  aur  sahī
ham  isī  rahmat-o-zahmat  ke  haiñ  aadī  yārab
jaisī  bhī  hai  isī  duniyā  kī  fazā  aur  sahī
sabaq-e-be-gunahī  tishna-e-takmīl  bhī  thā
ik  nayā  falsafa-e-jurm-o-sazā  aur  sahī
aaj  aap  apne  mahāsin  kā  bayāñ  kar  liije
mahfil-e-tazkira-e-ahl-e-vafā  aur  sahī
kyā  zarūrī  hai  ki  andāz-e-bahārāñ  rakkhe
ab  jo  kuchh  aur  hai  raftār-e-sabā  aur  sahī
ab  bahut  shor  sahī  kal  to  koī  parkhegā
in  sadāoñ  meñ  faqīroñ  kī  navā  aur  sahī
kyuuñ  na  'ālī'  se  alaa.ī  pe  ġhazal  likhvā.e
ek  bedādgar-e-ranj-fazā  aur  sahī