jis  sūraj  kī  aas  lagī  hai  shāyad  vo  bhī  aa.e
tum  ye  kaho  ḳhud  tum  ne  ab  tak  kitne  diye  jalā.e
apnā  kaam  hai  sirf  mohabbat  baaqī  us  kā  kaam
jab  chāhe  vo  rūThe  ham  se  jab  chāhe  man  jaa.e
kyā  kyā  rog  lage  haiñ  dil  ko  kyā  kyā  un  ke  bhed
ham  sab  ko  samjhāne  vaale  kaun  hameñ  samjhā.e
ek  isī  ummīd  pe  haiñ  sab  dushman  dost  qubūl
kyā  jaane  is  sāda-ravī  meñ  kaun  kahāñ  mil  jaa.e
duniyā  vaale  sab  sachche  par  jiinā  hai  is  ko  bhī
ek  ġharīb  akelā  paapī  kis  kis  se  sharmā.e
itnā  bhī  majbūr  na  karnā  varna  ham  kah  deñge
o  'ālī'  par  hañsne  vaale  tū  aalī  ban  jaa.e