ek  ajiib  raag  hai  ek  ajiib  guftugū
saat  suroñ  kī  aag  hai  āThvīñ  sur  kī  justujū
bujhte  hue  mire  ḳhayāl  jin  meñ  hazār-hā  savāl
phir  se  bhaḌak  ke  ruuh  meñ  phail  ga.e  haiñ  chār-sū
tīra-shabī  pe  sabr  thā  so  vo  kisī  ko  bhā  gayā
aap  hī  aap  chhā  gayā  ek  sahāb-e-rañg-o-bū
hañstī  huī  ga.ī  hai  sub.h  pyaar  se  aa  rahī  hai  shaam
terī  shabīh  ban  ga.ī  vaqt  kī  gard  hū-ba-hū
phir  ye  tamām  silsila  kyā  hai  kidhar  ko  jā.egā
merī  talāsh  dar-ba-dar  terā  gurez  kū-ba-kū
ḳhūn-e-junūñ  to  jal  gayā  shauq  kidhar  nikal  gayā
sust  haiñ  dil  kī  dhaḌkaneñ  tez  hai  nabz-e-ārzū
terā  mirā  qusūr  kyā  ye  to  hai  jabr-e-irtiqā
bas  vo  jo  rabt  ho  gayā  aap  hī  pā  gayā  numū
maiñ  jo  rahā  huuñ  be-suḳhan  ye  bhī  hai  ehtirām-e-fan
yaanī  mujhe  aziiz  thī  apnī  ġhazal  kī  aabrū