Jameeluddin Aali

tere KHayal ke diwar-o-dar banate hain

Jameeluddin Aali

Delhi, India

1925-2015

tere ḳhayāl ke dīvār-o-dar banāte haiñ

ham apne ghar meñ bhī terā ghar banāte haiñ

bajā.e yaum-e-malāmat rakhā hai jashn mirā

mire bhī dost mujhe kis qadar banāte haiñ

bikherte raho sahrā meñ biij ulfat ke

ki biij to ubhar kar shajar banāte haiñ

bas ab hikāyat-e-mazdūrī-e-vafā na banā

vo ghar unheñ nahīñ milte jo ghar banāte haiñ

tirā bhī naam chhapā vaj.h-e-marg-e-āshiq meñ

ye dekh be-ḳhabare yuuñ ḳhabar banāte haiñ

vo kyā ḳhudā parastish kareñge merī tarah

jo ek but bhī bahut soch kar banāte haiñ

kahā ye kis ne ki hai qasr-e-ishq rahn-e-shabāb

banāne vaale ise umr-bhar banāte haiñ

aa.e to tirī kārī-garī laaj rahe

ham aaj dasht meñ rah kar bhī ghar banāte haiñ

milī na fursat-e-ārā.ish-e-bayābāñ bhī

ki ham yahāñ bhī tire bām-o-dar banāte haiñ

adū havāo karāchī ke log haare nahīñ

jo ghar girāo vo bār-e-digar banāte haiñ

abu-dhabi meñ hamesha na.ī ġhazal 'ālī'

ye log to tujhe mo'tabar banāte haiñ

Top Urdushayar.com