koī  to  shakl  mohabbat  meñ  sāzgār  aa.e
hañsī  nahīñ  hai  to  rone  se  hī  qarār  aa.e
hai  ek  ne.amat-e-uzmā  ġham-e-mohabbat  bhī
magar  ye  shart  ki  insāñ  ko  sāzgār  aa.e
junūn-e-dasht-pasandī  batā.e  detā  hai
guzārnī  thī  jo  ghar  meñ  vo  ham  guzār  aa.e
guzārnī  hai  mujhe  umr  tere  qadmoñ  meñ
mujhe  na  kyuuñ  tire  va.adoñ  pe  e'tibār  aa.e
tumhārī  bazm  se  aa  kar  vahī  ḳhayāl  rahā
ham  ek  baar  ga.e  tum  hazār  baar  aa.e
nigāh-e-dost  koī  aur  baat  hai  varna
tū  be-qarār  kare  aur  mujhe  qarār  aa.e
hai  mutma.in  bhī  to  kis  kis  umīd-o-bīm  ke  saath
vo  nā-murād  jise  lutf-e-intizār  aa.e
batā  ga.ī  hai  jo  mujh  ko  vo  be-qarār  nigāh
na  kah  sakūñgā  agar  aaj  bhī  qarār  aa.e
ye  imtiyāz  hai  'ġhālib'  ke  ba.ad  'ālī'  kā
ki  jis  pe  aap  mare  haiñ  use  bhī  maar  aa.e