Rahat Indori

zindagi ko zaKHm ki lazzat se mat mahrum kar

Rahat Indori

Indore, Madhya Pradesh, India

1950

zindagī ko zaḳhm lazzat se mat mahrūm kar

rāste ke pattharoñ se ḳhairiyat ma.alūm kar

TuuT kar bikhrī huī talvār ke TukḌe sameT

aur apne haar jaane sabab ma.alūm kar

jāgtī āñkhoñ ke ḳhvāboñ ko ġhazal naam de

raat bhar karvaToñ zā.iqa manzūm kar

shaam tak lauT ā.ūñgā hāthoñ ḳhālī-pan liye

aaj phir niklā huuñ maiñ ghar se hathelī chuum kar

mat sikhā lahje ko apnī barchhiyoñ ke paiñtare

zinda rahnā hai to lahje ko zarā ma.asūm kar

Top Urdushayar.com