parī-sūrat  nazāra  DhūñDte  haiñ
musāfir  haiñ  sahārā  DhūñDte  haiñ
charāġhoñ  ko  zarūrat  kyā  paḌī  jo
havāoñ  kā  sahārā  DhūñDte  haiñ
sitāroñ  sā  koī  palkoñ  pe  apnī
vo  ashkoñ  meñ  nazāra  DhūñDte  haiñ
paḌī  aadat  hameñ  kyā  hārne  kī
jahāñ  dekho  ḳhasāra  DhūñDte  haiñ
ye  vasl-e-shab  ḳhalish  se  kam  nahīñ  hai
guzar  jaa.e  kināra  DhūñDte  haiñ
hue  jo  mast  'sāġhar'  jaam  pī  kar
hasīñ  dilkash  kinārā  DhūñDte  haiñ