lamha-e-rafta  kā  dil  meñ  zaḳhm  sā  ban  jā.egā
jo  na  pur  hogā  kabhī  aisā  ḳhalā  ban  jā.egā
ye  na.e  naqsh-e-qadam  mere  bhaTakne  se  bane
log  jab  in  par  chaleñge  rāsta  ban  jā.egā
guuñj  sunñī  ho  to  tanhā  vādiyoñ  meñ  chīḳhiye
ek  hī  āvāz  se  ik  silsila  ban  jā.egā
jazb  kar  de  merī  miTTī  meñ  latāfat  kā  mizāj
phir  vo  tere  shahr  kī  āb-o-havā  ban  jā.egā
khīñch  lā.egī  bagūloñ  ko  ye  vīrānī  mirī
merī  tanhā.ī  se  merā  qāfila  ban  jā.egā
us  meñ  lau  rakh  dūñgā  maiñ  jalte  hue  ehsās  kī
lafz  jo  hoñToñ  se  niklegā  diyā  ban  jā.egā
jugnuoñ  kī  mash.aloñ  se  sehn  kī  dīvār  par
raqs  kartī  raushnī  kā  dā.era  ban  jā.egā
talḳhiyāñ  ehsās  kī  jab  ḳhuun  meñ  ghul  jā.eñgī
merā  chehra  mere  ġham  kā  aa.ina  ban  jā.egā
ik  barhaman  ne  ye  aa  ke  sehan-e-masjid  meñ  kahā
ishq  jis  patthar  ko  chhū  le  vo  ḳhudā  ban  jā.egā
ek  sīdhī  baat  hai  milnā  na  milnā  ishq  meñ
is  pe  sochoge  to  ye  bhī  mas.ala  ban  jā.egā
mere  siine  meñ  abhī  ik  jazba-e-benām  hai
zabt  karte  karte  harf-e-mudda.ā  ban  jā.egā
dil  meñ  jo  kuchh  hai  vo  kah  do  dost  se  varna  'salīm'
harf-e-nā-gufta  diloñ  kā  fāsla  ban  jā.egā