'salīm'  dil  ko  mayassar  sakūñ  zarā  na  huā
agarche  tark-e-mohabbat  ko  ik  zamāna  huā
vo  be-ḳhudī  thī  mohabbat  kī  be-ruḳhī  to  na  thī
pe  us  ko  tark-e-ta.alluq  ko  ik  bahāna  huā
usī  se  daad  kā  tālib  huuñ  rū-ba-rū  jis  ke
bayān-e-dard-e-mohabbat  bhī  ik  fasāna  huā
vo  chob-e-ḳhushk  huuñ  mahrūm-e-ātish-e-sozāñ
ki  bin  jalā.e  jise  qāfila  ravāna  huā
nashāt-e-dard  meñ  fursat  kahāñ  ki  ġhaur  kareñ
'salīm'  kyā  huā  ulfat  meñ  aur  kyā  na  huā