baiThe  haiñ  sunahrī  kashtī  meñ  aur  sāmne  niilā  paanī  hai
vo  hañstī  āñkheñ  pūchhtī  haiñ  ye  kitnā  gahrā  paanī  hai
betāb  havā  ke  jhoñkoñ  kī  fariyād  sune  to  kaun  sune
maujoñ  pe  taḌaptī  kashtī  hai  aur  gūñgā  bahrā  paanī  hai
har  mauj  meñ  giryāñ  rahtā  hai  girdāb  meñ  raqsāñ  rahtā  hai
betāb  bhī  hai  be-ḳhvāb  bhī  hai  ye  kaisā  zinda  paanī  hai
bastī  ke  gharoñ  ko  kyā  dekhe  buniyād  kī  hurmat  kyā  jaane
sailāb  kā  shikva  kaun  kare  sailāb  to  andhā  paanī  hai
is  bastī  meñ  is  dhartī  par  sairābī-e-jāñ  kā  haal  na  pūchh
yaañ  āñkhoñ  āñkhoñ  aañsū  haiñ  aur  dariyā  dariyā  paanī  hai
ye  raaz  samajh  meñ  kab  aatā  āñkhoñ  kī  namī  se  samjhā  huuñ
is  gard-o-ġhubār  kī  duniyā  meñ  har  chiiz  se  sachchā  paanī  hai