Saleem Ahmed

swang bharta hun tere shahr mein saudai ka

Saleem Ahmed

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1983
svāñg bhartā huuñ tire shahr meñ saudā.ī kā
ki yahī haal hai andar se tamāshā.ī kā
bazm ke haal pe ab ham nahīñ kuḌhne vaale
intizāmāt meñ kyā daḳhl tamāshā.ī kā
ham to sau jhuuT bhī boleñ vo agar haath aa.e
koī Thekā to uThāyā nahīñ sachchā.ī kā
dil-e-ḳhūñ-gashta ko jā jā ke dikhā.eñ yaaro
shahr meñ kaam nahīñ lāla-e-sahrā.ī kā
log kahte haiñ havas ko bhī mohabbat jaise
naam paḌ jaa.e mujāhid kisī balvā.ī kā
ye nahīñ hai ki navāze na ga.e hoñ ham log
ham ko sarkār se tamġha milā rusvā.ī kā
un ko TuuTā huā dil ham bhī dikhā.eñge 'salīm'
koī pūchh aa.e vo kyā lete haiñ banvā.ī kā
Top Urdushayar.com