vasl  o  fasl  kī  har  manzil  meñ  shāmil  ik  majbūrī  thī
tujh  se  milte  to  kyā  milte  ḳhud  se  bhī  mahjūrī  thī
vasl  ke  saare  lamhe  jhūTe  milnā  qarz-e-judā.ī  thā
saath  hamāre  pahlū-ba-pahlū  qurb  ke  bhes  meñ  duurī  thī
aahoñ  kī  tāmīreñ  kī  thiiñ  sabr  ke  baaġh  lagā.e  the
shahr-e-vafā  meñ  mehnat-e-jāñ  kī  roz  na.ī  mazdūrī  thī
bāteñ  lākhoñ  kuchh  bhī  kahiye  lekin  us  ke  ba.ad  ye  fikr
jaane  kyā  kahnā  bhūle  haiñ  koī  baat  zarūrī  thī
qissa  chheḌā  mehr  o  vafā  kā  avval-e-shab  un  ā.ankhoñ  ne
raat  kaTī  aur  umr  guzārī  phir  bhī  baat  adhūrī  thī
ba.ad  meñ  kyā  anjām  huā  ye  aage  paḌhne  vaale  batā.eñ
us  kī  kitāb-e-dildārī  kī  pahlī  jild  to  puurī  thī