ye  ḳhvāb  aur  bhī  dekheñge  raat  baaqī  hai
abhī  to  ai  dil-e-zinda  hayāt  baaqī  hai
mire  lahū  meñ  abhī  tark-e-ishq  ke  bā-vasf
vo  garmī-e-nigah-e-iltifāt  baaqī  hai
abhī  to  zauq-e-talab  meñ  kamī  nahīñ  aa.ī
abhī  mirā  safar-e-be-jihāt  baaqī  hai
jo  ho  sake  to  shahādat-gah-e-nazar  meñ  aa
ye  dekh  ishq  meñ  kitnā  sabāt  baaqī  hai
ye  kā.enāt  abhī  ek  intizār  meñ  hai
ki  hone  vaalī  koī  vārdāt  baaqī  hai
ḳhud  apnī  raakh  se  tū  jī  uThe  sharar  kī  tarah
ye  mo.ajiza  abhī  ai  kā.enāt  baaqī  hai
shab-e-visāl  meñ  din  bhī  milā  na  leñ  ai  dost
ki  raat  ḳhatm  huī  aur  baat  baaqī  hai
huī  hai  shāḳh-e-hunar  meñ  na.ī  numū  ab  ke
'salīm'  barg-e-ḳhizāñ  se  najāt  baaqī  hai