ishq  meñ  jis  ke  ye  ahvāl  banā  rakkhā  hai
ab  vahī  kahtā  hai  is  vaz.a  meñ  kyā  rakkhā  hai
le  chale  ho  mujhe  is  bazm  meñ  yaaro  lekin
kuchh  mirā  haal  bhī  pahle  se  sunā  rakkhā  hai
hāl-e-dil  kaun  sunā.e  use  fursat  kis  ko
sab  ko  is  aañkh  ne  bātoñ  meñ  lagā  rakkhā  hai
dil  burā  thā  ki  bhalā  kaam  vafā  ke  aayā
yaar  jaane  bhī  de  is  bahas  meñ  kyā  rakkhā  hai
ai  sabā  aa  ki  dikhā.eñ  tujhe  vo  gul  jis  ne
bātoñ  hī  bātoñ  meñ  gulzār  khilā  rakkhā  hai
dekh  ai  dil  na  kahīñ  baat  ye  us  tak  pahuñche
chashm-e-namnāk  ne  tūfān  uThā  rakkhā  hai
husn  chāhe  jise  hañs  bol  ke  apnā  kar  le
dil  ne  apnoñ  ko  bhī  begāna  banā  rakkhā  hai
dil  jo  is  bazm  meñ  aatā  hai  to  jaatā  hī  nahīñ
ek  din  dekhnā  dīvāna  huā  rakkhā  hai
haal  mat  pūchh  mohabbat  kā  havā  hai  kuchh  aur
lā  ke  kis  ne  ye  sar-e-rāh  diyā  rakkhā  hai
intizām  aisā  ki  ghaTtī  hī  nahīñ  raunaq-e-bazm
ham  se  kitne  haiñ  ki  vaade  pe  lagā  rakkhā  hai
hosh  to  pahle  hī  kho  aa.e  the  us  mahfil  meñ
ab  agar  jaa.eñ  to  phir  dil  bhī  gayā  rakkhā  hai
tere  aane  kī  ḳhabar  pā  ke  abhī  se  dil  ne
shikve  ko  aur  kisī  din  pe  uThā  rakkhā  hai
bār-hā  yuuñ  bhī  huā  terī  mohabbat  kī  qasam
jaan  kar  ham  ne  tujhe  ḳhud  se  ḳhafā  rakkhā  hai
dasht  o  dar  ḳhair  manā.eñ  ki  abhī  vahshat  meñ
ishq  ne  pahlā  qadam  nām-e-ḳhudā  rakkhā  hai
hijr  meñ  ranj  bhī  karte  haiñ  pe  itnā  bhī  salīm
yaar  tū  ne  to  ajab  haal  banā  rakkhā  hai