maane  to  kis  kī  dīvāna  maane
jitnī  zabāneñ  utne  fasāne
andāz  us  kā  ahvāl  merā
kuchh  maiñ  na  samjhūñ  kuchh  vo  na  jaane
allāh  re  ye  ḳhud-e'timādī
maiñ  ab  chalā  huuñ  un  ko  bulāne
gum-karda-e-rah  kyā  sochtā  hai
chhoḌ  aayā  pīchhe  kitne  Thikāne
merī  vafā  kā  vo  mo'tarif  hai
apnī  ḳhatā  ko  maane  na  maane
chāho  to  aao  chāho  na  aao
donoñ  ke  yaksāñ  hiile  bahāne
kuchh  mere  ġham  se  nisbat  hai  un  ko
yaad  aa  rahe  haiñ  kitne  fasāne
kyā  hai  'salīm'  in  bātoñ  kā  hāsil
kis  ko  chalā  hai  tū  āzmāne