ḳhud  apnī  lau  meñ  thā  mehrāb-e-jāñ  meñ  jaltā  thā
vo  musht-e-ḳhāk  thā  lekin  charāġh  jaisā  thā
vo  gum  huā  to  mazāmīn  ho  ga.e  be-rabt
vahī  to  thā  jo  mirā  markazī  havāla  thā
mire  ḳhayāl  kī  tajsīm  hai  vajūd  tirā
tire  liye  baḌī  shiddat  se  maiñ  ne  sochā  thā
vo  sirf  apnī  hudūd-o-quyūd  kā  niklā
us  ek  shaḳhs  ko  kyā  kyā  samajh  ke  chāhā  thā
makāñ  banā  ke  use  band  kar  diyā  varna
ye  rāsta  kisī  manzil  ko  jaane  vaalā  thā
ye  vāqi.a  hai  ki  ham  ne  vo  rū-e-nādīda
baġhair  minnat-e-chashm-o-nigāh  dekhā  thā
muāni-e-shab-e-tārīk  khul  rahe  the  'salīm'
jahāñ  charāġh  nahīñ  thā  vahāñ  ujālā  thā