zindagī  maut  ke  pahlū  meñ  bhalī  lagtī  hai
ghaas  is  qabr  pe  kuchh  aur  harī  lagtī  hai
roz  kāġhaz  pe  banātā  huuñ  maiñ  qadmoñ  ke  nuqūsh
koī  chaltā  nahīñ  aur  ham-safarī  lagtī  hai
aañkh  mānūs-e-tamāshā  nahīñ  hone  paatī
kaisī  sūrat  hai  ki  har  roz  na.ī  lagtī  hai
ghaas  meñ  jazb  hue  hoñge  zamīñ  ke  aañsū
paañv  rakhtā  huuñ  to  halkī  sī  namī  lagtī  hai
sach  to  kah  duuñ  magar  is  daur  ke  insānoñ  ko
baat  jo  dil  se  nikaltī  hai  burī  lagtī  hai
mere  shīshe  meñ  utar  aa.ī  hai  jo  shām-e-firāq
vo  kisī  shahr-e-nigārāñ  kī  parī  lagtī  hai
buuñd  bhar  ashk  bhī  Tapkā  na  kisī  ke  ġham  meñ
aaj  har  aañkh  koī  abr-e-tahī  lagtī  hai
shor-e-tiflāñ  bhī  nahīñ  hai  na  raqīboñ  kā  hujūm
lauT  aao  ye  koī  aur  galī  lagtī  hai
ghar  meñ  kuchh  kam  hai  ye  ehsās  bhī  hotā  hai  'salīm'
ye  bhī  khultā  nahīñ  kis  shai  kī  kamī  lagtī  hai