ban  ke  duniyā  kā  tamāshā  mo'atabar  ho  jā.eñge
sab  ko  hañstā  dekh  kar  ham  chashm-e-tar  ho  jā.eñge
mujh  ko  qadroñ  ke  badalne  se  ye  hogā  fā.eda
mere  jitne  aib  haiñ  saare  hunar  ho  jā.eñge
aaj  apne  jism  ko  tū  jis  qadar  chāhe  chhupā
rafta  rafta  tere  kapḌe  muḳhtasar  ho  jā.eñge
rafta  rafta  un  se  uḌ  jā.egī  yakjā.ī  kī  bū
aaj  jo  ghar  meñ  vo  sab  dīvār-o-dar  ho  jā.eñge
aate  jaate  rahravoñ  ko  dekhtā  huuñ  is  tarah
raah  chalte  log  jaise  ham-safar  ho  jā.eñge
aadmī  ḳhud  apne  andar  karbalā  ban  jā.egā
saare  jazbe  ḳhair  ke  nezoñ  pe  sar  ho  jā.eñge
garmi-e-raftār  se  vo  aag  hai  zer-e-qadam
mere  naqsh-e-pā  charāġh-e-rahguzar  ho  jā.eñge
kaise  qisse  the  ki  chhiḌ  jaa.eñ  to  uḌ  jaatī  thī  niiñd
kyā  ḳhabar  thī  vo  bhī  harf-e-muḳhtasar  ho  jā.eñge
kyā  kaheñ  aise  taqāze  haiñ  mohabbat  ke  to  ham
apnī  betābī  se  ham  raqs-e-sharar  ho  jā.eñge
ek  saa.at  aisī  aa.egī  ki  ye  vasl  o  firāq
mere  rañg-e-be-dilī  se  yak-digar  ho  jā.eñge
kāḳh-o-kū-e-ahl-e-daulat  kī  binā  hai  ret  par
ik  dhamāke  se  ye  sab  zer-o-zabar  ho  jā.eñge
ye  ajab  shab  hai  unheñ  sone  na  do  varna  'salīm'
ḳhvāb  bachchoñ  ke  liye  vahshat-asar  ho  jā.eñge