Saleem Ahmed

wo log bhi hain jo maujon se Dar gae honge

Saleem Ahmed

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1983
vo log bhī haiñ jo maujoñ se Dar ga.e hoñge
magar jo Duub ga.e paar utar ga.e hoñge
lagī ye fikr na.ī dil ko aa ke manzil par
kahāñ bhaTak ke mire ham-safar ga.e hoñge
palaT ke aañkh meñ vo mauj-e-ḳhūñ nahīñ aa.ī
chaḌhe hue the jo dariyā utar ga.e hoñge
chale to ek hī raste pe ham magar na mile
mile bhī hoñge to bach kar guzar ga.e hoñge
jo maut se na Dare vo bhī tere saath nahīñ
ki zindagī ke savāloñ se Dar ga.e hoñge
jahāñ ye baaġh hai pahle yahāñ bayābāñ thā
zarūr idhar se tire ḳhush-nazar ga.e hoñge
jo shāh-rāhoñ pe dekhe haiñ log patthar ke
talab meñ jiine kī ye sū-e-zar ga.e hoñge
hamārī kisht-e-dil-o-jāñ se us kī mizhgāñ tak
ye silsile tire ai chashm-e-tar ga.e hoñge
jo mil gayā hai to ab mujhe se hāl-e-hijr na pūchh
kisī tarah se vo din bhī guzar ga.e hoñge
'salīm' ziist to mushkil thī be-dayāroñ kī
vatan se duur kahīñ jā ke mar ga.e hoñge
Top Urdushayar.com