Saleem Ahmed

dekhne ke liye ek shart hai manzar hona

Saleem Ahmed

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1983
dekhne ke liye ik shart hai manzar honā
dūsrī shart hai phir aañkh kā patthar honā
vahāñ dīvār uThā dī mire memāroñ ne
ghar ke naqshe meñ muqarrar thā jahāñ dar honā
mujh ko dekhā to falak-zād rafīqoñ ne kahā
is sitāre kā muqaddar hai zamīñ par honā
baaġh meñ ye na.ī sāzish hai ki sābit ho jaa.e
barg-e-gul kā ḳhas-o-ḳhāshāk se kam-tar honā
maiñ bhī ban jā.ūñgā phir sahar-e-havā se kashtī
raat aa jaa.e to phir tum bhī samundar honā
vo mirā gard kī mānind havā meñ uḌnā
phir usī gard se paidā mirā lashkar honā
dar-ba-dar Thokareñ khā.īñ to ye mālūm huā
ghar kise kahte haiñ kyā chiiz hai be-ghar honā
kaisā girdāb thā vo tark-e-ta.alluq terā
kaam aayā na mire merā shanāvar honā
tum to dushman bhī nahīñ ho ki zarūrī hai 'salīm'
mere dushman ke liye mere barābar honā
Top Urdushayar.com