'salīm'  dasht-e-tamannā  meñ  kaun  hai  kis  kā
yahāñ  to  ishq  bhī  tanhā  hai  husn  bhī  tanhā
bane  vo  baat  ki  ahl-e-vafā  ke  din  phir  jaa.eñ
mizāj-e-yār  kī  sūrat  badal  chale  duniyā
uḌā  ke  le  hī  ga.iiñ  bū-e-pairahan!  terā
subuk-ḳhirām  havāoñ  pe  koī  bas  na  chalā
mizāj-e-ishq  ho  mānūs-e-zindagī  itnā
ki  misl-e-ḳhalvat-e-mahbūb  ho  bharī  duniyā
misāl-e-sub.h  mirī  ḳhalvatoñ  meñ  kaun  aayā
vo  raushnī  hai  ki  palkeñ  jhapak  rahī  hai  fazā
hamīñ  pe  jab  na  tavajjoh  huī  to  ham  ko  kyā
balā  se  aap  kisī  ke  liye  hoñ  qahr-o-balā
vo  tū  hai  yaad  tirī  hai  ki  merī  hasrat  hai
ye  kaun  hai  mire  siine  meñ  siskiyāñ  letā
kuḌhe  to  apnī  jagah  ḳhush  rahe  to  apnī  jagah
'salīm'  ham  ne  kisī  se  na  kuchh  kahā  na  sunā