Saleem Ahmed

meri ghazal mein ek naya soz-e-jaan bhi hai

Saleem Ahmed

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1983
merī ġhazal meñ ek nayā soz-e-jāñ bhī hai
maanā abhī girānī-e-lafz-o-bayāñ bhī hai
kuchh dil bhī hai nashāt-e-tamannā se shād-kām
aur kuchh tirī jafā pe karam kā gumāñ bhī hai
kyā is hujūm-e-shauq se ghabrā na jā.egā
maanā vo bad-gumān-e-vafā mehrbāñ bhī hai
kuchh nāz-e-tamkanat bhī hai pās-e-hayā ke saath
phir bār-e-ārzū se zarā sargirāñ bhī hai
taklīf-e-iltifāt na duuñ us nigāh ko
bā-vasf-e-jaur-o-nāz jo ārām-e-jāñ bhī hai
maa.il karam pe hai magar allāh re ehtiyāt
paimān-e-ārzū se mire bad-gumāñ bhī hai
us yaar dil-shikan pe haiñ dildāriyāñ bhī ḳhatm
jo ham se sargirāñ bhī hai aur mehrbāñ bhī hai
tū jis tarah sune ye hai terā mo.āmla
ġham amr-e-vāqi.a bhī hai aur dāstāñ bhī hai
kuchh 'askarī' kā faiz bhī hai bā.is-e-ġhazal
aur kuchh 'salīm' merī tabī.at ravāñ bhī hai
Top Urdushayar.com