Shamim Azar

shahr-e-jaan mein iztirab-e-soz-e-fan dekhega kaun

Shamim Azar

shahr-e-jāñ meñ iztirāb-e-soz-e-fan dekhegā kaun

mere andar ek qulzum maujzan dekhegā kaun

muzmahil sochoñ ke is jhulse hue māhaul meñ

terā husn-e-qāmat-e-sarv-e-saman dekhegā kaun

raat ne āñkhoñ meñ bhar diiñ is qadar tārīkiyāñ

sub.h to hogī magar pahlī kiran dekhegā kaun

apnī apnī aag meñ āñkheñ jhulas kar rah ga.iiñ

tere lab ke phuul terā bāñkpan dekhegā kaun

log to apne gharoñ meñ band ho kar rah ga.e

mere ḳhuuñ se surḳhī-e-shām-e-vatan dekhegā kaun

mere bāhar to sabā lams hai ḳhushbū bhī hai

mujh meñ aa kar mere andar ghuTan dekhegā kaun

log to pūjeñge ḳhud mere tarāshīda ḳhudā

kaun hai 'āzar' ḳhudā-e-fikr-o-fan dekhegā kaun

Top Urdushayar.com