ye  chaltī-phirtī  sī  lāsheñ  shumār  karne  ko
bahut  hai  kaam  sar-e-rahguzār  karne  ko
guzar  rahe  haiñ  ba-ujlat  bahār  ke  ayyām
paḌā  hai  raḳht-e-badan  taar  taar  karne  ko
gale  kī  samt  mire  apne  haath  baḌhte  haiñ
rahā  hī  kyā  hai  bhalā  e'tibār  karne  ko
badan  ko  chaaT  liyā  hai  siyāh  kaa.ī  ne
abhī  to  kitne  samundar  haiñ  paar  karne  ko
abhī  se  chāñd  sitāroñ  kī  āñhkeñ  pathrā.ī
paḌī  hai  raat  abhī  intizār  karne  ko
samajh  meñ  aa  na  sakī  ye  adā  gulāboñ  kī
chaman  meñ  aate  haiñ  siina  figār  karne  ko