nigāh-e-shauq  kyuuñ  maa.il  nahīñ  hai
koī  dīvār  ab  haa.il  nahīñ  hai
sahar-dam  hī  gharoñ  se  chal  paḌe  sab
koī  jaada  koī  manzil  nahīñ  hai
sabhī  kī  nazreñ  haiñ  kashtī  ke  ruḳh  par
magar  is  bahr  kā  sāhil  nahīñ  hai
kareñ  kis  se  tavaqqo  munsifī  kī
koī  aisā  hai  jo  qātil  nahīñ  hai