sahar-nā-āshnā  koī  nahīñ  hai
magar  ab  jāgtā  koī  nahīñ  hai
payāmī  ban  ke  aate  the  parinde
magar  ab  rābta  koī  nahīñ  hai
shikasta-pā  nahīñ  haiñ  ham  darḳhto
kareñ  kyā  rāsta  koī  nahīñ  hai
koī  lauTā  nahīñ  ghar  se  nikal  kar
magar  ye  sochtā  koī  nahīñ  hai
bahā  lo  tum  hī  apne  saath  maujo
hamārā  aasrā  koī  nahīñ  hai
ham  is  kī  khoj  meñ  nikle  hue  haiñ
hameñ  apnā  pata  koī  nahīñ  hai