Javed Akhtar Bedi

naya mausam dar aaya dasht mein barg-o-samar jage

Javed Akhtar Bedi

nayā mausam dar aayā dasht meñ barg-o-samar jaage
zamānoñ se jo mahv-e-ḳhvāb the qalb-o-nazar jaage
na.e harfoñ ke phūloñ ko sajāyā vaqt ne lab par
na.e harfoñ ke phūloñ meñ na.e kaif-o-asar jaage
vo daur aayā sadā zulm-o-sitam ke bhī ḳhilāf uTThī
hamārī aur tirī duniyā ke arbāb-e-hunar jaage
qayāmat kūcha-o-bāzār meñ yūñhī nahīñ aa.ī
ham apne shahr meñ pahle pas-e-dīvār-o-dar jaage
sivā.e tīrgī hadd-e-nazar tak kuchh na thā 'bedī'
ye ḳhvāhish thī ki sīnoñ meñ tamannā-e-sahar jaage
Top Urdushayar.com