Azhar Saeed

halakat-e-dil-e-nashad raegan bhi nahin

Azhar Saeed

halākat-e-dil-e-nāshād rā.egāñ bhī nahīñ

nigāh-e-dost meñ ab koī imtihāñ bhī nahīñ

talāsh-e-dair-o-haram ma.aal kyā kahiye

sukūñ yahāñ bhī nahīñ hai sukūñ vahāñ bhī nahīñ

tirī nigāh ne kholā mo.āmla dil

nazar zabāñ nahīñ rakhtī pa be-zabāñ bhī nahīñ

usī ko saare zamāne se ham chhupā.e rahe

vo ek baat zamāne se jo nihāñ bhī nahīñ

subūt barq ġhārat-garī kis se mile

ki āshiyāñ thā jahāñ ab vahāñ dhuāñ bhī nahīñ

nishān-e-qāfila-e-umr DhūñDne vaalo

yahāñ to duur talak gard-e-kārvāñ bhī nahīñ

Top Urdushayar.com