Rahat Indori

apne diwar-o-dar se puchhte hain

Rahat Indori

Indore, Madhya Pradesh, India

1950
apne dīvār-o-dar se pūchhte haiñ
ghar ke hālāt ghar se pūchhte haiñ
kyuuñ akele haiñ qāfile vaale
ek ik ham-safar se pūchhte haiñ
kyā kabhī zindagī bhī dekheñge
bas yahī umr-bhar se pūchhte haiñ
jurm hai ḳhvāb dekhnā bhī kyā
rāt-bhar chashm-e-tar se pūchhte haiñ
ye mulāqāt āḳhirī to nahīñ
ham judā.ī ke Dar se pūchhte haiñ
zaḳhm kā naam phuul kaise paḌā
tere dast-e-hunar se pūchhte haiñ
kitne jañgal haiñ in makānoñ meñ
bas yahī shahr bhar se pūchhte haiñ
ye jo dīvār hai ye kis kī hai
ham idhar vo udhar se pūchhte haiñ
haiñ kanīzeñ bhī is mahal meñ kyā
shāh-zādoñ ke Dar se pūchhte haiñ
kyā kahīñ qatl ho gayā sūraj
raat se rāt-bhar se pūchhte haiñ
kaun vāris hai chhāñv kā āḳhir
dhuup meñ ham-safar se pūchhte haiñ
ye kināre bhī kitne saada haiñ
kashtiyoñ ko bhañvar se pūchhte haiñ
vo guzartā to hogā ab tanhā
ek ik rahguzar se pūchhte haiñ
Top Urdushayar.com