Shah Naseer

ho chuki bagh mein bahaar afsos

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
ho chukī baaġh meñ bahār afsos
aah ai bulbulo hazār afsos
qāfila umr kā hai pā-ba-rikāb
ziist kā kyā hai e'tibār afsos
mirī rātoñ ko dekh soḳhtagī
na kiyā ek din bhī yaar afsos
shab se parvāne kī lagan meñ sham.a
sub.h tak roī zaar zaar afsos
saḳht be-tābī se kaTī kal raat
aaj bhī dil hai be-qarār afsos
ḳhāl-o-ḳhat ko samajh ke dāna-o-dām
murġh-e-dil ho gayā shikār afsos
aah dast-e-junūñ se ai nāseh
hai garebān taar taar afsos
jaan hoñToñ pe aa ga.ī hamdam
lekin ab tak phirā na yaar afsos
umr ġhaflat meñ kaT ga.ī hai 'nasīr'
aah afsos sad-hazār afsos
Top Urdushayar.com