Shah Naseer

KHandan-e-qais ka main to sada se pir hun

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838

ḳhāndān-e-qais maiñ to sadā se piir huuñ

silsila-jumbān-e-shor-e-ḳhāna-e-zanjīr huuñ

ḳhāksārī ke abhī to darpai tadbīr huuñ

kushta ho kar ḳhaak jab hoñ tab kabhī iksīr huuñ

zo.af ne go kar diyā hai juuñ kamāñ gosha-nashīñ

ab bhī chalne ko jo pūchho to sarāsar tiir huuñ

rishta-e-ulfat ne bāñdhe haiñ par-e-parvāz aah

dām-e-hairat meñ ba-rañg-e-bulbul-e-tasvīr huuñ

tujh se ye uqda khulegā ai nasīm-e-sub.h-dam

ġhunche mānind is gulshan meñ kyuuñ dil-gīr huuñ

muntazir chashm-e-rikāb ai said-e-afgan hai hanūz

bosa-e-fitrāk ḳhvāhish hai vo naḳhchīr huuñ

faqr daulat ke aage saltanat kyā maal hai

bistare par apne ai rūba-mizājo sher huuñ

sach hai apne dam se qaa.em hai ye buniyād-e-jahāñ

raunaq-afzā-e-chaman ārā.ish-e-ta.amīr huuñ

jaisī chāhe vaisī le mujh se qasam qātil na Dar

hashr ko bhī gar kabhī terā maiñ dāman-gīr huuñ

ahl-e-jauhar mire mazmūñ ko samjhe hai 'nasīr'

maiñ bhī iqlīm-e-suḳhan meñ sāhib-e-shamshīr huuñ

Top Urdushayar.com