Shah Naseer

kuchh sarguzisht kah na sake ru-ba-ru qalam

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838

kuchh sarguzisht kah na sake rū-ba-rū qalam

gardish-nasīb roz-e-azal se hai qalam

kāġhaz taao kyā hai tire rū-ba-rū qalam

aisā ya.anī piir neza hai qalam

zālim nahīñ harf-e-mohabbat se āshnā

mashq-e-sitam se sharm kar ai jañg-jū qalam

kyā ḳhāma likh sake sifat-e-zulf-e-mushk-bār

shore ke bhī hue haiñ kahīñ mushk-bū qalam

naama par-e-humā ho mirā ai shah-e-butāñ

likho gar ustuḳhāñ se banā kar kabhū qalam

qātil ko maiñ ne ḳhat nahīñ shanjarf se likhā

kis vaj.h se huā hai ab surḳh-rū qalam

ya.anī ki us ke ishq meñ is dam milā hai yaañ

muñh se lahū lagā ke shahīdoñ meñ qalam

likh aur ik ġhazal ki shagufta zamīn hai

le kar 'nasīr' ab ye lab-e-ābjū qalam

Top Urdushayar.com