Shah Naseer

jigar ka jun shama kash ya-rab ho dagh raushan murad hasil

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838

jigar juuñ sham.a kaash yā-rab ho daaġh raushan murād hāsil

ki dil ko lau lag rahī yahī hai charāġh raushan murād hāsil

mudām kaifiyyat apne dil meñ mai-e-mohabbat ke nashshe hai

ki saaqī is āftāb se hai dimāġh raushan murād hāsil

asīr-e-kunj-e-qafas to ho tum ye andalībo sadā ye bolo

shitāb yā-rab charāġh-e-gul se ho baaġh raushan murād hāsil

lage na kyuuñ aag tere sar se ki ishq meñ maiñ ne paañv rakkhā

bajā hai ai sham.a tujh ko kahnā dimāġh raushan murād hāsil

jo yaar aatā hai mere ghar meñ to jald ḳhāna-ḳharāb uḌ

jahāñ meñ terā shugūñ ye sab par hai zaaġh raushan murād hāsil

phire hai ai charḳh to bāñdhe shikam pe ḳhurshīd ye gurda

kahe na kyūñkar ki gurisna ho charāġh raushan murād hāsil

jahāñ meñ kyā DhūñDhtā phire hai surāġh yārān-e-raftagāñ

'nasīr' hai chashm-e-naqsh-e-pā se surāġh raushan murād hāsil

Top Urdushayar.com