Shah Naseer

chhoDa na tujhe ne ram kya ye bhi na hua wo bhi na hua

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
chhoḌā na tujhe ne raam kyā ye bhī na huā vo bhī na huā
ham se to but-e-kāfir ba-ḳhudā ye bhī na huā vo bhī na huā
afsos adam se aa ke kiyā kyā ham ne gulshan-e-hastī meñ
juuñ shabnam-o-gul royā na hañsā ye bhī na huā vo bhī na huā
us ā.īna-rū ke vasl meñ bhī mushtāq-e-bos-o-kanār rahe
ai ālam-e-hairat tere sivā ye bhī na huā vo bhī na huā
dil kū-e-butāñ meñ jā baiThā dam ḳhāna-e-tan ko chhoḌ gayā
haif āḳhir-e-kār rafīq apnā ye bhī na huā vo bhī na huā
yā bahr-e-tavāf-e-ka.aba ga.e yā mo.atakif-e-but-ḳhāna hue
kyā shaiḳh o barhaman ham ne kiyā ye bhī na huā vo bhī na huā
ai qāsid-e-ashk o paik-e-sabā us tak na payām-o-ḳhat pahuñchā
tum kyā karo haañ qismat kā likhā ye bhī na huā vo bhī na huā
kheñch us ko na laayā jazba-e-dil tāsīr na kuchh naale hī ne kī
maiñ donoñ kā bas shākī hī rahā ye bhī na huā vo bhī na huā
us lab kā liyā bosa na kabhū haihāt na lipTā pāvoñ se
dil tujh se ba-rañg-e-pān-o-hinā ye bhī na huā vo bhī na huā
majnūñ to phirā jañgal jañgal farhād ne chīrā koh-e-dilā
maiñ aah rahā be-dast-o-pā ye bhī na huā vo bhī na huā
din ko bhī na dekhā ham ne use shab ḳhvāb meñ bhī yaaro na milā
is tāla-e-ḳhufta kā hove burā ye bhī na huā vo bhī na huā
nazdīk 'nasīr' apne āsāñ farmā.ish thī goyā ye ġhazal
kuchh us kā bhī kahnā mushkil thā ye bhī na huā vo bhī na huā
Top Urdushayar.com