Shah Naseer

kyun na kahen bashar ko hum aatish-o-ab o KHak-o-baad

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
kyuuñ na kaheñ bashar ko ham ātish-o-āb o ḳhāk-o-bād
qudrat-e-haq se haiñ baham ātish-o-āb o ḳhāk-o-bād
aḳhgar-e-ġhuncha āb-jū gard-e-chaman nasīm-e-sub.h
haiñ ye girah-kushā-e-ġham ātish-o-āb o ḳhāk-o-bād
huqqe ko ahl-e-ma.arifat kyūñ-ki na samjheñ hamdam ab
ye bhī rakhe hai besh-o-kam ātish-o-āb o ḳhāk-o-bād
sozish-e-dāġh-o-ābla gard-e-alam shumār-e-dam
hijr meñ chāroñ haiñ baham ātish-o-āb o ḳhāk-o-bād
barq-o-sahāb o gard-bād dasht-e-junūñ meñ saath haiñ
haiñ ye mire rafīq-e-dam ātish-o-āb o ḳhāk-o-bād
rū o araq ġhubār-e-ḳhat jumbish-e-zulf kī havā
chāroñ haiñ dil ke haq meñ sam ātish-o-āb o ḳhāk-o-bād
chashm meñ ātishīñ haiñ ashk dil meñ ġhubār-e-āh-e-sard
donoñ se lete haiñ janam ātish-o-āb o ḳhāk-o-bād
mujh ko ḳhudā.ī kī qasam rakhte haiñ ghere dam-ba-dam
tere ye ishq meñ sanam ātish-o-āb o ḳhāk-o-bād
kyuuñ na havās-e-ḳhamsa gum ahl-e-suḳhan ke hoñ 'nasīr'
tujh hī se bas hue raqam ātish-o-āb o ḳhāk-o-bād
Top Urdushayar.com