Shah Naseer

liya na hath se jis ne salam aashiq ka

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838

liyā na haath se jis ne salām āshiq

vo kaan dhar ke sune kyā payām āshiq

qusūr-e-shaiḳh hai firdaus o huur ḳhvāhish

tirī galī meñ hai pyāre maqām āshiq

ġhurūr-e-husn na kar jazba-e-zuleḳhā dekh

kiyā hai ishq ne yūsuf ġhulām āshiq

tire naam simran hai mujh ko aur tasbīh

hai vird har ik sub.h-o-shām āshiq

vafūr-e-ishq ko āshiq jāntā hai 'nasīr'

har ik samajh nahīñ saktā kalām āshiq

Top Urdushayar.com