Shah Naseer

yaro nahin itna mujhe qatil ne sataya

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838

yaaro nahīñ itnā mujhe qātil ne satāyā

jitnā ki mare dushman-e-jāñ dil ne satāyā

kuchh sarzanish-e-kār shākī vo nahīñ hai

majnūñ ko to hai sāhib-e-mahmil ne satāyā

ġhuncha kahūñ durj-e-guhar tere dahan ko

khulnā nahīñ is uqda-e-mushkil ne satāyā

ārām se soyā na kamar tirī kushta

marqad meñ bhī mūrān-e-tah-e-gil ne satāyā

us mujhe shab yaad dilāyā ruḳh-e-pur-nūr

shakl apnī dikhā kar mah-e-kāmil ne satāyā

merā dil-e-saudā-zada kartā na kabhī ġhul

is kākul-e-pechāñ ke salāsil ne satāyā

afyūñ kisī roz maiñ khā jā.ūñgā golī

be-vajah ruḳh-e-yār ke gar til ne satāyā

jab bosa maiñ māñgūñ huuñ to kyā kahte ho muñh pher

aisā to kisī bhī nahīñ saa.il ne satāyā

har mutajallī hai vo be-parda va-lekin

ġhaflat ke mujhe parda-e-hā.il ne satāyā

thā ek to sayyād giraftār qafas meñ

aur dūsre āvāz-e-anādil ne satāyā

ai ham-safarāñ pesh-ravī nahīñ tāqat

kyā kiije hameñ dūri-e-manzil ne satāyā

pahlū meñ 'nasīr' aah nahīñ hai dil-e-muztar

is sher-e-ġham-ālūda-e-be-dil ne satāyā

Top Urdushayar.com