vaar  bharpūr  kiyā  us  ne  anā  par  merī
ḳhud  bhī  maġhmūm  huā  āh-o-bukā  par  merī
vaqt-e-āḳhir  bhī  tirī  ḳhair  ḳhudā  se  māñgī
zindagī  ḳhatm  huī  harf-e-duā  par  merī
sach  batā  ishq  mujhe  saḳht  pareshāñ  huuñ  maiñ
kyuuñ  ḳhafā  hotā  nahīñ  dost  ḳhatā  par  merī
reza  reza  hai  mirī  jaan  talab  meñ  jis  kī
us  ko  tashkīk  hai  afsos-e-vafā  par  merī
us  ke  hāthoñ  kī  nafāsat  pe  girāñ  thī  mehñdī
aa  ga.ī  yaad  use  rasm-e-hinā  par  merī
rañg  ġhālib  na  sahī  rañj-e-mohabbat  hī  sahī
ḳhush  nazar  aate  haiñ  naqqād  navā  par  merī
us  kā  iḳhlās  musallam  hai  ḳhudā  ḳhair  kare
dost  pahuñchā  nahīñ  'tanvīr'  sadā  par  merī