jo  log  ujāle  kā  sab  ko  paiġhām  sunāne  aate  haiñ
in  shab-zādoñ  kī  nagrī  meñ  vo  suulī  par  chaḌh  jaate  haiñ
ai  mere  ḳhudā  kuchh  tū  hī  batā  ye  daur-e-alam  kab  guzregā
is  bastī  meñ  to  musannif  bhī  sach  kahne  se  ghabrāte  haiñ
is  duniyā  meñ  apnī  ḳhātir  ik  lamha  bhī  ḳhushiyoñ  kā  nahīñ
fariyād  ki  bas  ab  ham  hī  haiñ  jo  rañj  pe  rañj  uThāte  haiñ
is  shahr  ke  jitne  baasī  haiñ  vo  gūñge  bahre  haiñ  varna
un  par  bhī  khule  ye  ahl-e-qalam  likhte  haiñ  yā  chillāte  haiñ
is  daur  ke  baad  jo  daur  nayā  duniyā  meñ  aane  vaalā  hai
ham  'rājas'  chup  kī  pastī  meñ  us  daur  ke  naġhme  gaate  haiñ