haq  baat  pe  martā  huuñ  to  marne  nahīñ  dete
ye  ahl-e-jahāñ  kuchh  bhī  to  karne  nahīñ  dete
us  paar  kī  bāteñ  to  bahut  karte  haiñ  lekin
kashtī  koī  is  paar  utarne  nahīñ  dete
har  jurm  mire  naam  kiye  jaate  haiñ  lekin
ḳhud  par  koī  ilzām  vo  dharne  nahīñ  dete
hai  fikr  unheñ  mar  ke  bhī  maiñ  zinda  rahūñgā
ye  soch  ke  zālim  mujhe  marne  nahīñ  dete
is  dahr  ke  maqtal  meñ  bapā  zulm  hai  aisā
mazlūm  ko  fariyād  bhī  karne  nahīñ  dete
manzil  hai  kaḌī  aisī  kaḌī  bhī  to  nahīñ  hai
vo  rāh-numā  haiñ  ki  guzarne  nahīñ  dete
'rājas'  unheñ  da.avā  hai  bahut  chāragarī  kā
riste  hue  zaḳhmoñ  ko  jo  bharne  nahīñ  dete