miTTī  ke  alāva  haiñ  kahāñ  ham  se  kahīñ  aur
aflāk-nashīñ  aur  haiñ  ham  ḳhāk-nashīñ  aur
ye  kis  kī  sarā.e  hai  shab-o-roz  jahāñ  se
ik  jaa.e  musāfir  to  ik  aa  jaa.e  makīñ  aur
tujh  husn-e-mukammal  meñ  qayāmat  kī  kashish  hai
yūsuf  to  hazāroñ  haiñ  magar  tujh  sā  nahīñ  aur
maiñ  jaan  kī  baazī  bhī  lagā  duuñ  ai  zamāne
gar  DhūñD  ke  lā  de  to  mohammad  sā  amiiñ  aur
'rājas'  kī  tabī.at  pe  ajab  terā  asar  hai
rahtā  huuñ  kahīñ  aur  maiñ  hotā  huuñ  kahīñ  aur