is  liye  jafāoñ  par  mujh  ko  muskurānā  thā
aur  us  sitam-gar  kā  hausla  baḌhānā  thā
āñsuoñ  kī  qīmat  jab  motiyoñ  se  baḌh  kar  thī
vo  mirī  mohabbat  kā  aur  hī  zamānā  thā
jab  sitam  se  Darte  the  ab  karam  se  Darte  haiñ
ye  bhī  ik  zamāna  hai  vo  bhī  ik  zamānā  thā
zindagī  ne  luuTā  hai  zindagī  ko  dānista
maut  se  shikāyat  kyā  maut  kā  bahānā  thā
vo  bhī  daur  guzrā  hai  jab  mirī  vafāoñ  se
aap  hī  nahīñ  tanhā  bad-gumāñ  zamānā  thā
ai  'nasīm'  gulshan  meñ  jab  bahār  ke  din  the
dosh  par  fazāoñ  ke  merā  āshiyānā  thā