husn  maa.il  ba-sitam  ho  to  ġhazal  hotī  hai
ishq  bā-dīda-e-nam  ho  to  ġhazal  hotī  hai
phuul  barsā.eñ  ki  vo  hañs  ke  girā.eñ  bijlī
koī  bhī  ḳhaas  karam  ho  to  ġhazal  hotī  hai
kabhī  duniyā  ho  kabhī  tum  kabhī  taqdīr  ḳhilāf
roz  ik  taaza  sitam  ho  to  ġhazal  hotī  hai
dāman-e-zabt  chhuTe  chuur  ho  yā  shīsha-e-dil
hādsa  koī  aham  ho  to  ġhazal  hotī  hai
shikan-e-gesū-e-daurāñ  hī  pe  mauqūf  nahīñ
un  kī  zulfoñ  meñ  bhī  ḳham  ho  to  ġhazal  hotī  hai
chārāgar  laakh  kareñ  koshish-e-darmāñ  lekin
dard  is  par  bhī  na  kam  ho  to  ġhazal  hotī  hai
rāz-e-taḳhlīq-e-ġhazal  ham  ko  hai  ma.alūm  'nasīm'
jaam  ho  mai  ho  sanam  ho  to  ġhazal  hotī  hai