Naseem Shahjahanpuri

qalb-e-warafta mohabbat mein kahin aisa na ho

Naseem Shahjahanpuri

Junagarh, Gujarat, India

1937
qalb-e-vārafta mohabbat meñ kahīñ aisā na ho
jis ko tū apnā samajhtā hai vahī begāna ho
har sitam par muskurānā merī fitrat hai magar
dekhiye is zabt kā anjām kyā ho kyā na ho
maiñ ne maanā aap ne sab kuchh bhulā Daalā magar
ġhair-mumkin hai kabhī merā ḳhayāl aatā na ho
husn ko ye ġham ki jalve ho rahe haiñ be-naqāb
ishq ko ye fikr nāmūs-e-nazar rusvā na ho
shauq se tū bhuul jā ai bhūlne vaale magar
is taġhāful meñ koī pahlū tavajjoh kā na ho
gir gayā un kī nigāhoñ se dil-e-ḳhāna-ḳharāb
merī nazroñ se bhī gir jaa.e kahīñ aisā na ho
bahar-e-takmīl-e-nazarā ye bhī lāzim hai 'nasīm'
mere un ke darmiyāñ haa.il koī pardā na ho
Top Urdushayar.com