raat  bezār  sā  ghar  se  jo  maiñ  tanhā  niklā
chāñd  bhī  jaise  mere  ġham  kā  shanāsā  niklā
sar-ba-sar  Duub  gayā  raat  ke  sannāTe  meñ
chāñdnī  jis  ko  maiñ  samjhā  thā  vo  dariyā  niklā
duur  se  aa.ī  galī  meñ  kahīñ  qadmoñ  kī  sadā
apnā  ghar  chhoḌ  ke  mujh  sā  koī  tanhā  niklā
soī  thī  chāñdnī  pattoñ  se  Dhakī  saḌkoñ  par
ek  jhoñkā  sar-e-shab  ḳhaak  uḌātā  niklā
sāmne  ghar  ke  tire  koī  khaḌā  thā  jaise
vahm  apnā  tirī  dīvār  kā  saayā  niklā
chāñdnī  rāh-e-mulāqāt  meñ  dīvār  banī
chāñd  bhī  jaise  tirā  chāhne  vaalā  niklā
raat  ke  moḌ  pe  kaun  ā.ina-bardār  milā
jis  ko  samjhā  thā  tirī  yaad  zamāna  niklā
raat  bhar  mauj-e-havā  se  tirī  ḳhushbū  aa.ī
chāñd-tāroñ  meñ  tirā  naqsh-e-kaf-e-pā  niklā
is  bhare  shahr  meñ  ham  chāk-e-garebāñ  Thahre
jis  ko  dekhā  vahī  sargarm-e-tamāshā  niklā
ham  to  is  dil  hī  ko  samjhe  the  bayābāñ  'ḳhāvar'
chāñd  bhī  duur  tak  ik  rañg  kā  sahrā  niklā