dard-o-ġham  zamāne  ke  aur  ek  jī  tanhā
āñdhiyoñ  meñ  jaltī  hai  sham-e-zindagī  tanhā
apnī  apnī  rāheñ  haiñ  apnī  apnī  manzil  hai
kār-gāh-e-hastī  meñ  rahte  haiñ  sabhī  tanhā
shab  se  dāġh-e-hijrāñ  kā  vāsta  ajab  shai  hai
terī  dilkashī  tanhā  merī  bekalī  tanhā
haa.e  us  zamāne  meñ  ahl-e-fan  kī  be-qadrī
mausam-e-zamistāñ  meñ  jaise  chāñdnī  tanhā
jaane  dil  kī  dhaḌkan  meñ  kyā  fareb  hotā  hai
tujh  se  baat  karte  haiñ  ham  kabhī  kabhī  tanhā
rahguzar  pe  sajtī  hai  apnī  bazm-e-tanhā.ī
terī  naqsh-e-pā  tanhā  merī  be-ḳhudī  tanhā
husn-o-ishq  kī  taqdīr  ik  tazād  bāham  hai
un  kī  shaam  bhī  mahfil  apnī  sub.h  bhī  tanhā
kaun  kis  kī  suntā  hai  aise  daur  meñ  'ḳhāvar'
ham  ne  duur  chheḌī  hai  ġham  kī  rāgnī  tanhā