bikhrā  ke  ham  ġhubār  sā  vahm-o-ḳhayāl  par
pattoñ  kī  tarah  Dolte  phirte  haiñ  maal  par
apne  hī  paañv  bas  meñ  nahīñ  aur  yaar  log
tanqīd  kar  rahe  haiñ  sitāroñ  kī  chaal  par
ye  maal  āñchaloñ  kā  subuksār  ābshār
sad-mauj-e-rañg-o-nūr  hai  lamhoñ  kī  faal  par
bahte  hujūm  shaam  ke  lamhoñ  kā  sail  ham
raqsāñ  haiñ  zehan  jhūmte  qadmoñ  ke  taal  par
uljhe  hue  haiñ  bahs  meñ  vāraftagān-e-shām
hai  guftugū  adab  ke  urūj-o-zavāl  par
tai  rah-guzār-e-pā  hai  na  mauzū-e-guftugū
whiskey  ke  dhundalke  haiñ  javāb-o-savāl  par
'ġhālib'  kā  zikr  thā  abhī  'shelley'  par  aa  ga.e
pahuñche  'mallarme'  se  jalāl-o-jamāl  par
jhoñkoñ  ke  saath  saath  koī  tā.er-e-ḳhayāl
aa  baiThtā  hai  zehan  kī  shādāb  Daal  par
gard-e-safar  se  pyaar  hai  manzil  kā  ġham  nahīñ
yuuñ  chal  rahe  haiñ  rahguzar-e-māh-o-sāl  par
chhā.e  hue  haiñ  soch  ke  saa.e  kahīñ  kahīñ
chhiTkī  huī  hai  chāñdnī  bām-e-ḳhayāl  par
har  saaya  apnī  apnī  guphā  meñ  luḌhak  gayā
ham  log  ghūmte  rahe  sunsān  maal  par